Tuesday, August 4, 2015

Iltiza



Lambi hai rah-guzr, do pal toh saath de do
bahut kiya tanha safar ,do kadam saath chalo

Yeh ilm hai mere sung dum ghuttaa hai tumhara
umr tamam nahi , chand muskane humein baksh do

Nashe mein choor hun, bhale bure ka hosh nahin
kadam jo behek jaye toh, girne se pehle thaam lo

Ik lamha tumhare bin jeena hai jinhe gawara nahee,
tanha udaas un dhadkano ko tum rukne ko na kaho

Abhi to jaag rahi hai yeh ankhein bani shabnami chirag
Bus seher taq in ankhon mein yuhin tum basey raho

Ab aakhri safar humein jaana hai jane jahan
dil ko karar mile, tum jo kuch pal bahon mein lo