Tuesday, March 27, 2012

Soch

Anjan sochon mein uljhi hoon main
Ya mujh mein uljhay mere yeh soch
Is jal mein na janay kaise ulajh gayi
Rang birangi reshmi sochon ki dor
Sochon ke khajane mein dhoonda
Milay koi tarqeeb ki pakdun koi chor
Achanak ek udta aya meri hi ore
Bina kiye pal jaaya usko pakad liya
Nikal na paaye , kaskar aise jakad liya
Khush hui bhatakte sochon ko suljha
Mano barsho ka khoya dhan ho pa liya
Per yeh toe thi mere sochon ki bhool
Ik baar chubhe toe kabhi na nikle
Yeh toh hai who soch ka shool
Dabay paon yeh naya soch aaya
Meri beeti mehnet kar gaya jaaya
Muskruta mujhe phir se bharmaya
Ab sochon mein uljhi main phir se
Ya sulajh gayi sochon mein ghir ke ?

No comments:

Post a Comment