Tuesday, March 27, 2012

Pukar

Ghabrayi si baichain aur pareshan hoon
Zindagi ki bojh se hairaan hoon
Phir tere paas janay ko dil chahta hain ma
Apne mamta ke anchal mein le tu chupa
Bachpan ki woh bhuli hui loriyan suna
Ek pal ke liye bhi jo de mujhe sula
Kitni thaki hui hoon chahun batana tujhe
Ke sun mujhe pyar se tu bahon mein le
Zindagi ki paheli ab nahi hai bujhti
Tufano mein ghiri hoon raah nahi sujhti
Andheron se yeh dil ghabrata hai
Anjana ashanka her pal satata hai
Badhaon ka kaisa hai yeh antheen silsila
Jeetungi main yeh tunay vaada tha kiya
Ma tujhe toe tab sab hota tha pata
Manzil taq kaise pahunchun ab sirf yeh bata
Thoda sa ab mujhko hausla dila
Haath tham phir agay badhna sikha
Kuch na ho toe phir se le kokh mein chupa

2 comments:

  1. I don't know why did you get 'no-comment' on your post. Anyway, this post does not show "you are inferior... anyway"... :o

    ReplyDelete