Saturday, September 1, 2012

Hasrat


Khoi himmat ko dhundti main

Khoj unhe dil mein sanjoti hoon

Aur phir zindagi ki agli hi mod pe

Unke tootay tukde batorti hoon

Her baar chand tukde kho jaatay hain

Meri umeendein thak ke so jaatein hain

Ab ainay se katarne lagi hoon main

Apne aks se bhi darne lagi hoon main

chehre ke lakeeron mein mayusi hai

Jis sir ko utha kal tak jeeti thi main

Aaj wahi haar ke bojh se jhuki hai

Apni hi sason se honay lagi hai ghutan

Tootay sapno ki anhon mein chupi chubhan

Kash ghadi bhar ko so jayen yeh ankhein

shayad unme phir naye sapnay jagein

Unhi sapno se main haunsla churaun

Dil mein nayi zindagi ki hasrat jagaun

Aasman se kuch taray tod laun

No comments:

Post a Comment